|
|
|
|
| “ Ye hamari JANG nahin hai…na kabhi thi na raheygee…… “ “ Kiya baktay ho…..ye hamari jang hai….35000 pakistani marr chukay ” “ Dimaagh kharaab hai tumhara….KAFIRON sey milkar JANG kaheen larhi jati hai? Ye hamari jang nahin hai!!! ” “ Arrey bhai….aaankhein kholo janab…Dushman logon k gharon tak pahnch chukka…ye hamari JANG hai…maan lo bhai merey!! ” “Abey saalay, Keh diya na..hamari JANG nahin hai..nahin hai…nahin hai “ “ ye hamari JANG hai…hai…hai “ Achanak ek zordaar Dhamaka hota hai……aur dono k jism k Tukrhay yahan wahan bikhar jaatey hain !! |
|
|
|
|
|